Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Lyrics By Atif Aslam Alahazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi Rehmatullah Alaih. Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam Mehre Charkhe Nubuwwat Pe Roshan Durood Ghul E Baagh E Risaalat Pe Laakhon Salaam.
Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Lyrics
Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam
Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam
Mehre Charkhe Nubuwwat Pe Roshan Durood
Ghul E Baagh E Risaalat Pe Laakhon Salaam
Shahre Yaare Iram Tajdar E Haram
Nou Bahaare Shafa’at Pe Lakhon Salam
Shab e Ashra Ke Dulha Pe Daa’im Durood
Nausha E Bazme Jannat Pe lakhon Salaam
Door o Nazdeek Ke Sunne Wale Woh Kaan
Kaan e Laal e Karaamat Pe Lakho Salaam
Jis Ke Maathe Safa’at Ka Sehra Raha
Us Jabeen E Sa’adat Pe Lakhon Salaam
Jis Ke Sajde Ko Mehraab e Kaba Jhuki
Unn Bhavo Ki Latafat Pe Lakhon Salam
Jis Taraf Uth Gayi Dam Mein Dam Aagaya
Us Nigah e Inaayat Pe Lakhon Salaam
Jis Se Taarek Dil Jagmagaane Lage
Us Chamak Wali Rangat Pe Lakhon Salam
Wo Zabaa(n) Jisko Sab Kun Ki Kunji Kahe
Uski Naafiz Huqumat Pe Laakho Salaam
Jis Ki Taski Se Rote Hue Hans Pare
Us Tabassum Ki Aadat Pe Lakhon Salam
Jisko Baare Do Aalam Ki Parwah Nahi
Aise Baazoo Ki Quwwat Pe Lakhon Salam
Kul Jahan Milk Aur Jau Ki Roti Ghiza
Us Shikam Ki Qana’at Pe Lakhon Salam
Jis Suhaani Ghadi Chamka Taiba Ka Chand
Us Dil Afroz Saa’at Pe Lakhon Salam
Allah Allah Woh Bachpane Ki Phaban
Us Khuda Bhaati Soorat Pe Lakho Salam
Kisko Dekha Ye Moosa Se Pooche Koyi
Aankh Waalo Ki Himmat Pe Laakhon Salaam
Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam
Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam
Uss Batool E Jigar Paara E Mustafa
Jumla Aara E Iffat Pe Lakhon Salam
Syeda Zahira Tayyaba Tahira
Jaan E Ahmad Ki Raahat Pe Laakhon Salaam
Woh Daso Jin Ko Jannat Ka Muzda Mila
Us Mubarak Jama’at Pe Lakhon Salam
Jin Ke Dushman Pe Laanat Hai Allah Ki
Un Sab Ahle Mohabbat Pe Lakhon Salam
Woh Umar Jis Ke Aada Pe Shaida Sakar
Uss Khuda Dost Hazrat Pe Laakhon Salaam
Mustafa Jaane Rehmat Pe Lakhon Salam
Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam
Ghous E Azam Imam Ut Tuqa Wannuqa
Jalwa E Shan E Qudrat Pe Lakhon Salam
Shere Shamsheer-Jan Shah e Khaibar Shikan
Partave Dost Qudrat Pe Lakhon Salam
Jis Ki Mimbar Bani Gardane Auliya
Us Qadam Ki Karamat Pe Lakhon Salam
Hazrat E Hamza Shere Khuda Wa Rasool
Zeenat E Qaadriyat Pe Laakhon Salaam
Be Azaabo Aetaabo Hisaabo Kitaab
Ta Abad Ahle Sunnat Pe Laakhon Salaam
Mere Ustaad, Maa-Baap, Bhai Bahen
Ahle Waldo Asirat Pe Lakhon Salam
Kaash Mehshar Me Jab Unki Aamad Ho Aur
Bheje Sab Unki Shauqat Pe Lakhon Salaam
Arsh Ki Zebo Zeenat Pe Arshi Durood
Farsh Ki Teebo Nuzhat Pe laakhon Salaam
Noor E Ain E Latafat Pe Altaf Durood
Zaibo Zaine Najaafat Pe Laakhon Salaam
Sarve Naaz E Kidam Maghze Raaze Hikam
Yakka Taaze Fazilat Pe Laakhon Salaam
Nukta E Sirri Wahdat Pe Yakta Durood
Markaze Daure Kasrat Pe Laakho Salaam
Sahibe Raj’ate Shamso Saqqul Qamar
Naib E Daste Qudrat Pe Laakho Salaam
Jiske Zere Liwa Aadam o Man Siva
Uss Sada E Siyadat Pe Laakhon Salaam
Arsh Taa Farsh Hai Jiske Zere Nagee(n)
Uski Qaahir Riyaasat Pe Laakhon Salaam
Asle Har Bud o Bahbood Takhme Wajood
Qasim E Kanze Ne’amat Pe Laakhon Salaam
Fathe Baab E Nubuvvat Pe Behad Durood
Khatme Daur E Risalat Pe Laakhon Salaam
Sharke Anwaare Qudrat Pe Noori Durood
Fat-he Az Haare Qurbat Pe Laakho Salaam
Be-Saheemo Qasimo Adeelo Maseel
Jouhar E Farde Izzat Pe Laakho(n) Salaam
Sirre Ghaib E Hidayat Pe Ghaibi Durood
Itre Jaibe Nihayat Pe Laakho Salaam
Maahe Lahoote Khilwat Pe Lakhon Durood
Shahe Naasoot E Jalwat Pe Lakhon Salam
Hum Garibo Ke Aaqa Pe Behad Durood
Hum Faqeero Ke Sarwat Pe Lakhon Salam
Jis Ke Aage Sare Sarwaraa Kham Rahe
Us Sare Taaje Rif’at Pe Lakhon Salaam
Patli, Patli Gule Quds Ki Pattiyan
Un Labon Ki Nazakat Pe Lakhon Salam
Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam
Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam
Woh Dahan Jiski Har Baat, Wahi-Aye Khuda
Chash’maaey Ilmo Hikmat Pe Lakhon Salam
Noor Ke Chasme Lehraye, Dariya Bahe
Ungliyo Ki Karamat Pe Lakhon Salam
Khaai Qur’aney Khaake Guzar Ki Qasam
Us Kafe Paa Ki Hurmat Pe Laakho Salaam
Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam
Sham E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam
Khalq Ke Daad Ras, Sab Ke Fariyaad Ras
Kahfe Roze Musibat Pe Lakhon Salam
Sham-E Bazme ‘Dana Hu’ May Gham Kum Ana
Sharhe Matne Huyyat Pe Lakhon Salam
Jis Se Khaarey KooWey Shiraaey Jaa Bane
Us Zulaaley Halaawat Pe Lakhon Salam
Mujh Se Khidmat Ke Qudsi Kahe Haan RAZA!
Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam
Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam
Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam
(Sallallahu Alaihi Wasallam)
Dekha Tenu Pehli Pehli Baar Ve Lyrics