Beemar e Karbala Ka Taboot Uth Raha Hai Lyrics. Karbobala Ka Zakhmi, Yasrab Me’in Chal Basa Hai BEEMAR-E-KARBALA (a.s) Ka, Taboot Uth Raha Hai Phir FATEMA (s.a.) Ke Ghar Mein.
Beemar e Karbala Ka Taboot Uth Raha Hai Lyrics
Mera Beemar IMAM (a.s.)..(6)
Haye SAJJAD (a.s.), Haye SAJJAD (a.s.)..(2)
Phir FATEMA (s.a.) Ke Ghar Mei’n, Farsh-e-Azaa Bichha Hai
BEEMAR-E-KARBALA (a.s.) Ka, Taboot Uth Raha Hai !!
Karbobala Ka Zakhmi, Yasrab Me’in Chal Basa Hai
BEEMAR-E-KARBALA (a.s) Ka, Taboot Uth Raha Hai
Phir FATEMA (s.a.) Ke Ghar Mein….
Haye Zere Kafan Bhi Uski Aankho’n Se Khoo’n Hai Jaari
Yaad Aa Rahi Hai Ghurbat SAJJAD (a.s.) Ko Padar Ki
Raoze Se MUSTAFA (SAWW) Ke Aelaan Ho Raha Hai !!
BEEMAR-E-KARBALA (a.s) Ka, Taboot Uth Raha Hai
Phir FATEMA (s.a.) Ke Ghar Mein….
Haye, BAQIR (a.s) Se Kah Raha Tha Sadaat Ka Gharana
Pehlu Mein Nanajaa’n Ke Mayyat Na Leke Jaana
Pehle Bhi Ek Janaza Ghar Wapas Aa Chuka Hai !!
BEEMAR-E-KARBALA (a.s) Ka, Taboot Uth Raha Hai
Phir FATEMA (s.a.) Ke Ghar Mein….
Haye, Ab To Madine Walo Tumko Sukoo’n Rahega
Royega Aur Na Iski Aankho’n Se Khoo’n Bahega
Baba Ko Rone Wala Khamosh Hogaya Hai !!
BEEMAR-E-KARBALA (a.s) Ka, Taboot Uth Raha Hai
Phir FATEMA (s.a.) Ke Ghar Mein….
Mayyat Ke Aage Aage Ye Koi Keh Raha Tha
Bazaar Se Na Guzre SAJJAD (a.s.) Ka Janaza
Bazaar Ko Ye Qaidi Rota Hua Gaya Hai
BEEMAR-E-KARBALA (a.s) Ka, Taboot Uth Raha Hai
Phir FATEMA (s.a.) Ke Ghar Mein….
Haye, Maara Hai Is Tarha Se Zalim Ne Zaher Deke
Kat Katke Bahar Aaye Iske Jigar Ke Tukde
Haye Pehlu Pe FATEMA (s.a.) Ke Phir Zakhm Ek Laga Hai !!
BEEMAR-E-KARBALA (a.s) Ka, Taboot Uth Raha Hai
Phir FATEMA (s.a.) Ke Ghar Mein….
Taboot Se Lipat Kar Kehti Hai Koi Bacchi
Zindaan Se Hai Aayi Bhaiya Bahen Tumhari
Aankhei’n To Khol Lo Ab Sar Par Mere Rida Hai !!
BEEMAR-E-KARBALA (a.s) Ka, Taboot Uth Raha Hai
Phir FATEMA (s.a.) Ke Ghar Mein….
Akbar Jo Laash E Fizza Dafna Ke Uthhe MAULA (ASWS)
Aayi Sada E ZAINAB (ASWS) BAQIR (ASWS) Watan Chala Jaa
SAJJAD (ASWS) Ka Janaza Tayyar Hogaya Hai
BEEMAR-E-KARBALA (a.s) Ka, Taboot Uth Raha Hai
Phir FATEMA (s.a.) Ke Ghar Mein….