Sahar Ka Waqt Tha Masoom Kaliyan Muskurati Thi Lyrics By Mehmood Ul Hasan Ashrafi. Saher Ka Waqt Tha Masoom Kaliyan Muskurati Thi Hawayen Khair Maqdam Ke Tarane Gungunati Thi.
Sahar Ka Waqt Tha Masoom Kaliyan Muskurati Thi Lyrics
Saher Ka Waqt Tha Masoom Kaliyan Muskurati Thi
Hawayen Khair Maqdam Ke Tarane Gungunati Thi
Abhi Jibreel Utre Bhi Na The Kaabe Ke Mimbar Se
Ki Itne Me Sada Ayi Ye Abdullah Ke Ghar Se
Mubarak Ho Shahe Har Do Sara Tashreef Le Aye
Mubarak Ho Muhammad Mustafa Tashreef Le Aye
Maula Ya Salli Wasallim Da Iman Abadan
Ala Habibi Ka Khairil Khalqi Kullihimi
Muhammadun Sayyidil Kaunaini Was Saqalaini
Wal Faree Qaini Min Urbiw Wamin Ajami
Maula Ya Salli Wasallim Da Iman Abadan
Ala Habibi Ka Khairil Khalqi Kullihimi
Na Koi Aap Jaisa Hai Na Koi Aap Jaisa Tha
Koi Yun Mujhse Pooche Mustafa Ka Husn Kaisa Tha
Zameeno Aasman Men Koi Bhi Misaal Na Mili
Maula Ya Salli Wasallim Da Iman Abadan
Ala Habibi Ka Khairil Khalqi Kullihimi
Durood Un Par Salaam Un Par Yahi Kahna Khuda Ka Hai
Khuda Ke Baad Jo Hai Martaba Salle Ala Ka Hai
Wohi Sardare Aalam Hain Wohi Gamkhare Ummat Hain
Wohi To Hashr Ke Maidaan Men Sab Ki Shafaat Hai
Shafaat Ke Liye Sab Ki Nazar Un Par Lagi Hogi
Maula Ya Salli Wasallim Da Iman Abadan
Ala Habibi Ka Khairil Khalqi Kullihimi
Salaam Us Par Ki Jisne Bekason Ki Dastageeri Ki
Salaam Us Par Ki Jisne Baadshahi Me Faqeeri Ki
Salaam Us Par Ki Jis Ke Ghar Me Chaandi Thi Na Sona Tha
Salaam Us Par Ki Toota Boriya Jiska Bichauna Tha
Salaam Aye Aamina Ke Laal Aye Mahboobe Subhani
Salaam Aye Fakhre Maujoodat Fakhre Naue Insani
Teri Soorat Teri Seerat Tera Naqsha Tera Jalwa
Tabassum Guftagoo Banda Nawazi Khanda Peshani
Tera Dar Ho Mera Sar Ho Tera Dil Ho Mera Ghar Ho
Tamanna Mukhtasar Si Hai Magar Tamheed Toolani
Maula Ya Salli Wasallim Da Iman Abadan
Ala Habibi Ka Khairil Khalqi Kullihimi
Muhammadun Sayyidil Kaunaini Was Saqalainni
Wal Fareeqaini Min Urbiw Wamin Ajami
Maula Ya Salli Wasallim Da Iman Abadan
Ala Habibi Ka Khairil Khalqi Kullihimi