Sahar Ka Waqt Tha Masoom Kaliyan Muskurati Thi Lyrics. Sahar ka waqt tha masoom kaliyan muskurati thin Hawayen khair maqdam ke tarane gungunati thi Abhi jibril (as) bhi utre na then k’abe ke member se Ke itne me sada aayi hai Abdullah ke ghar se.
Sahar Ka Waqt Tha Masoom Kaliyan Muskurati Thi Lyrics
Sahar ka waqt tha masoom kaliyan muskurati thin
Hawayen khair maqdam ke tarane gungunati thi
Abhi jibril (as) bhi utre na then k’abe ke member se
Ke itne me sada aayi hai Abdullah ke ghar se
Mubarak ho shahe har dusra tashreef le aye
Mubarak ho Mohammad Mustafa (saw) tashreef le aaye
Maula ya Salli Wasalim da-Iman Abadan
‘Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kulli hi mi
Muhammad un Sayyidul Kawnaini Wa-Thakalain
Wal-Faree qaini Min Urbin Wa Min-Ajami
Na koi aap jaisa hai
Na koi aap jaisa tha
Koi Yusuf (as) se poochhe
Mustafa (saw) ka husn kaisa tha
Zameen-o-aasman me
Koi bhi misal na mili
Maula ya Salli Wasalim da-Iman Abadan
‘Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kulli hi mi
Durud un par salam un par
Yehi kehana khuda ka hai
Khuda ke baad jo hai
Martaba salle ‘ala (saw) ka hai
Wahi sardar-e-‘alam hain
Wahi gham khawar ummat hain
Wahi to hashr ke maidan me
Sab ki shifa’at hain
Shifa’at ke liye sab ki
Nazar un par lagi hogi
Maula ya Salli Wasalim da-Iman Abadan
‘Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kulli hi mi
Salam us par ke jisne
Bekason ki dastagiri ki
Salam us par ke jisne
Badshahi me faqeeri ki
Salam us par ke jiske
Ghar na chandi thi na sona tha
Salam us par ke toota boriya
Jiska bichhona tha
Salam ae aamna ke laal
Ae mahboob subhani
Salam ae fakhr-e-maujoodat
Fakhr-e-nuye insani
Teri soorat teri seerat
Tara naqsha tera jalwa
Tawassum guftugu banda
Nawazi khalqat-e-shani
Tera dar ho mera sar ho
Mera dil ho tera ghar ho
Tamanna mukhtasar si hai
Magar tamhid qurani
Maula ya Salli Wasalim da-Iman Abadan
‘Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kulli hi mi
Tere Hi Sapne Andhero Mein Ujalon Mein Lyrics