Maa Kehti Thi Uth Jaag Meri Jaan Sakina Lyrics

Maa Kehti Thi Uth Jaag Meri Jaan Sakina Lyrics. Maa kehti thi uth jaag meri jaan Sakina Uth ghar ko chalein khul gaya zindaan Sakina Bunday jo tere shimr ne cheenay wo dila dun Ek nanhi si chadar main tere sar pe orhaa dun Ghar janay kab ab ho gaya saman Sakina.

Maa Kehti Thi Uth Jaag Meri Jaan Sakina Lyrics

Maa kehti thi uth jaag meri jaan Sakina
Uth ghar ko chalein khul gaya zindaan Sakina

Bunday jo tere shimr ne cheenay wo dila dun
Ek nanhi si chadar main tere sar pe orhaa dun
Ghar janay kab ab ho gaya saman Sakina

Ek baar meray seenay se lag jaa zara uth kar
Kehti thi ye maa qabar-e-Sakina se lipat kar
Kuch dair ke hain hum tere mehman Sakina

Masoom se gaalon pe tamachay bhi hai khaye
Ro ro ke kaha karti thi Baba nahi aye
Rota hai tere haal pe zindaan Sakina

Uthti hi nahi laakh uthaya hai kayi baar
Lo mar hi gayi aaj wo baba ki azadaar
Lab khol zara maa hai pareshan Sakina

Waris na raha mera raha na mera Asghar
Jaati Sakina tumhe zindaan mein kho kar
Ujra hai mera kaisa gulistan Sakina

Bin tere Sakina bhala main kaise jiyoon gi
Bethun gi sada dhoop mein pani na piyun gi
Jaye gi tere gham mein meri jaan Sakina

Mayyit pe Sakina ki haram noha kuna the
Chehre pe Sakina ke tamachon ke nishaan the
Lo marr hi gayi shaam ki mehmaan Sakina

Ronay ki sadaa aati hai zindaan se aksar
Mar ke bhi rehayi na mili hai jisay Akhtar
Sunsaan sa hai aaj kyun zindaan Sakina

Teri Nazron Ne Kuch Aisa Jadoo Kiya Lyrics