Wo Aa Raha Hai Manqabat Lyrics

Wo Aa Raha Hai Manqabat Lyrics. Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega Bagher farmaan e Ibn e Zahra, nizam e duniya nahi chalega Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega Kahin guzaarish nahi chalay gi, kisi ki sazish nahi chalegi.

Wo Aa Raha Hai Manqabat Lyrics

Sab thaat para reh jaye ga jab aane wala ayega
Ye dhartee sonaa uglay gi, ye charkh gohar barsaayega
Kabe ki chat par Ghazi kaa, ik roz Alam lehrayega

Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
Bagher farmaan e Ibn e Zahra, nizam e duniya nahi chalega

Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega

Kahin guzaarish nahi chalay gi, kisi ki sazish nahi chalegi
Kare ga aa kar woh adal qayam, koi sifarish nahi chalagi
Chalayega woh Ali ka sikka, kisi ka sikka nahi chalega

Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega

Alag na hoga koi kisi se, Namaz rozay bhi ek honge
Imam ayengay laut kar jab, har ek mu-aazin baghaur sunle
Azaan ho gi Ghadeer waali, ye kam-ziyaada nahi chalega

Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega

Anaa ke jazbon me behne waalon, hawa e mazhab me rehne waalo
Koi karega halaal tum ko, haraam maatam ko kehne waalo
Dunkan fatwon ki band hongi, kisi ka fatwaa nahi chalega

Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega

Likha huwa he hadis me bhi, zameen nejasat se door ho gi
Chalegi shamsheer Murtaza ki, zabaan o millat ki qayd kaysi
Ali ka munkir ho chaahe jo bhi, zameen pe zinda nahi chale ga

Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega

Marenge sab maslehat ke aadi, kahaan pe jayenge ye fasaadi
Chupayenge kis tarha se chehre, haram se hogi ye jub manadi
Meri hukumat me is zameen par, udu e Zahra nahi chalega

Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega

Fasad sarey bharenge aahen, samaa ye dekhengi sab nigahein
Nizaam tabdil hoga sara, ye masjidein ho yaa bargahein
Woh khud chalayenge har idara, ye tera-mera nahi chalega

Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega

Ye farsh e matam he yaad rakhna, kabhi siyaasat yaha na karna
Amanat e Sayyada hein aansu, yahan khayanat se khud hi bachna
Kahen na mahshar ke roz Zahra, tumhara pursa nahi chalega

Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega

Khuda e Wahid ka faysala he, ke noor kaamil zaroor hoga
Hazaar fitne uthaye dunya, Wali ka lazim zahoor hoga
Bagher Imam e Zamana (a.s) Akbar, kabhi zamaana nahi chalega

Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega

No Mercy In Mexico Tiktok Lyrics